jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya
yun to har shaam ummidon me guzar jaati hai
aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya
kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq me har gam pe rona aaya
mujh pe hi khatm hua silsila-e-nauhagari
is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya
jab hua zikr zamane me mohabbat ka 'Sahil'
mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya
Dard

No comments:
Post a Comment