Sunday, October 6, 2019

Be-naam sa ye Dard thahar kyun nahi jata

be-naam sa ye dard thahar kyun nhi jata
jo beet gaya hai wo guzar kyun nhi jata

sab kuch to hai kya Dhundhti rahti hai nigahen
kya baat hai mai waqt pe ghar kyun nhi jata

wo ek hi chehra to nhi sare jahan me
jo dur hai wo dil se utar kyun nhi jata

mai apni hi uljhi hui rahon ka tamasha
jaate hai jidhar sab mai udhar kyun nhi jata

wo khwab jo barson se na chera na badan hai
wo khwab hawaoon me bikhar kyun nhi jata

Dard

Ai mohabbat tere anjam pe rona aaya

ai mohabbat tere anjam pe rona aaya
jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya

yun to har shaam ummidon me guzar jaati hai
aaj kuch baat hai jo shaam pe rona aaya

kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq me har gam pe rona aaya

mujh pe hi khatm hua silsila-e-nauhagari
is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya

jab hua zikr zamane me mohabbat ka 'Sahil'
mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya

  Dard

guzre jo apne yaron ki sohbat mein chaar din

guzre jo apne yāroñ sohbat meñ chaar din
aisā lagā basar hue jannat meñ chaar din
umr-e-ḳhizar us ko tamannā kabhī na ho
insān sake jo mohabbat meñ chaar din
jab tak jiye nibhā.eñge ham un se dostī
apne rahe jo dost musībat meñ chaar din
ai jān-e-ārzū vo qayāmat se kam na the
kaaTe tire baġhair jo ġhurbat meñ chaar din
phir umr bhar kabhī na sukūñ sakā ye dil
kaTne the jo bhī kaT ga.e rāhat meñ chaar din
jo faqr meñ surūr hai shāhī meñ vo kahāñ
ham bhī rahe haiñ nashsha-e-daulat meñ chaar din
us aag ne jalā ke ye dil raakh kar diyā
uThte the 'josh' sho.ale jo vahshat meñ chaar din

Saturday, October 5, 2019

किस्मत ने भी जाने कितनो को हराया

किस्मत के खेल को, कौन जानता था,

जो आज मेरा हैं वो कल पराया होगा,

जानकर भी रोक ना पाते तकदीर की रवानी को,

किस्मत ने भी जाने कितनो को हराया होगा

Tere Bina

अब तेरे बिना जिंदगी गुजारना मुमकिन नही है,
अब और किसी को इस दिल में बसाना आसान नही है,
हम तो तेरे पास कब के चले आये होते सब कुछ छोड़ कर,
लेकिन तूने कभी हमे दिल से पुकारा ही नही है।